Hum Punjabi Hum Bengali, Hum Hai Maratha Hum Madrasi Lyrics | Hum Ek Hain

                        
                        hum punjabi hum bengali
hum hai maratha hum madrasi
hum punjabi hum bengali
hum hai maratha hum madrasi
baad me kuch aur magar
hum pahle hai bharatwasi
hum punjabi hum bengali
hum hai maratha hum madrasi

dudh ki taqat rakhnewala
ye punjab ka pani hai
bhagat singh ke yaha
heer aur ranjhe ki kahani hai
bharat ka hai rup yahi
bharat ki yahi jawani hai
bharat ka hai rup yahi
bharat ki yahi jawani hai
hum punjabi hum bengali
hum hai maratha hum madrasi

maut gulami se behtar
netaji ne maut hi chuni hai
maut gulami se behtar
netaji ne maut hi chuni hai
ye tagore ki kavita
jisko duniya sunkar jhumi hai
ye buniyad aazad hind ki
ye bengal ki bhumi hai
ye buniyad aazad hind ki
ye bengal ki bhumi hai
hum punjabi hum bengali
hum hai maratha hum madrasi

ye maharashat ki pawan seema
sapna veer shivaji ka
o sapna veer shivaji ka
hum sabne sikha hai
jisse pahla sabak aazadi ka
o pahla sabak aazadi ka
yahi desh ka tilak
yahi hai bharat mata ka tika
yahi desh ka tilak
yahi hai bharat mata ka tika
hum punjabi hum bengali
hum hai maratha hum madrasi

nirat aur sangeet se jo
sansar ke man ko harti hai
har ghar ek kala ka mandir
ye sakhan ki dharti hai
yahi hai bharat ki jal sena
jisse duniya darti hai
yahi hai bharat ki jal sena
jisse duniya darti hai
hum aasami hum hai udiya
hum gujrati rajasthani
baad me kuch aur magar
hum pahle hai bharatwasi
hum punjabi hum bengali
hum hai maratha hum madrasi

ek phul ke liye chaman ko nahi ujada jayega
ek phul ke liye chaman ko nahi ujada jayega
ek daal ke liye ped ko nahi ukhada jayega
ek daal ke liye ped ko nahi ukhada jayega
dushman ko aa hi gaya
to milke pachhada jayega
milke pachhada jayega
o milke pachhada jayega
ha milke pachhada jayega.