Indian Film History

Suno Jaana Suno Jaana Lyrics

From Hum Sab Ustad Hain (1965)

Lyricist
Asad Bhopali
Duration
5:54
Suno jaana suno jaana Mere pehloo se mat jaana Suno jaana suno jaana Mere pehloo se mat jaana Agar jaana to yoon jaana Judaa gardan se kar jaana Suno jaana suno jaana Mere pehloo se mat jaana Suno jaana suno jaana Mere pehloo se mat jaana Agar jaana to yoon jaana Judaa gardan se kar jaana Suno jaana suno jaana Ye chehra kyun chhipaaye ho Ye daaman kyun bachaaye ho Zaraa baithho chale jaana Kai din mein to aaye ho Tum ik rangeen dhokha ho Nahin maloom kya kya ho Tumhein taqleef to hogi Ghadi bhar ko theher jaana Suno jaana suno jaana Mere pehloo se mat jaana Agar jaana to yoon jaana Judaa gardan se kar jaana Suno jaana suno jaana Nigaahe naaz ki baaten Jawaan andaaz ki baaten Abhi to tum se karni hain Bahut si raaz ki baaten Abhi se bewafaayi hai Duhaai hai duhaai hai Mere paas aao pehle phir Jidhar chaaho udhar jaana Suno jaana suno jaana Mere pehloo se mat jaana Agar jaana to yoon jaana Judaa gardan se kar jaana Suno jaana suno jaana Ye aakhir kaisa waada hai Kaho ab kya iraada hai Mujhe dil de ke dil le lo Ke sauda seedha saadha hai Tumhen pehchaan’ne waale Nahin yoon maan’ne waale Kahin tum baaton baaton mein Na apna kaam kar jaana Suno jaana suno jaana Mere pehloo se mat jaana Agar jaana to yoon jaana Judaa gardan se kar jaana Suno jaana suno jaana Mere pehloo se mat jaana Agar jaana to yoon jaana Judaa gardan se kar jaana Suno jaana suno jaana.

More songs from Hum Sab Ustad Hain

Suno Jaana Suno Jaana Lyrics - Hum Sab Ustad Hain (1965) | Indian Film History