Duniya Mein Aake Jisne Dekha Na Pyar Ma Ka Lyrics | Ilzam

                        dunia me aake jisne dekha na pyar maa ka
wo phul hai khuda ka wo phul hai khuda ka

kismat kabhi na likhe yu dasta kisi ki
kismat kabhi na likhe yu dasta kisi ki
bachpan me is tarah to bichade na maa kisi ki
dusman pe bhi na tute ye kahar aasma ka
ye kahar aasma ka
dunia me aake jisne dekha na pyar maa ka
wo phul hai khuda ka wo phul hai khuda ka

do roz tujhko lori deke bhi na sulaya
do roz tujhko lori deke bhi na sulaya
mamata bhari dua se na god me khilya
masum ki khata kya kya dosh bejuba ka
kya dosh bejuba ka