Bansuriya Bole Madhur Ras Ghole Lyrics | Insaniyat

                        
                        Bansuriya bole
Madhur ras ghole
Kya bole kya bole
Dhun sun ke tan mann dole
Bansuriya bole
Madhur ras ghole
Kya bole kya bole
Dhun sun ke tan mann dole

Bansi ki dhun me
Kanha pukare
Bansi ki dhun me
Kanha pukare
Samjhe na bholi
Radha ishare
Samjhe na bholi
Radha ishare
Bansi ki tan hai
Mann ka sandesha
Mil gayi lo
Radha jamuna kinare
Bansuriya bole
Madhur ras ghole
Kya bole kya bole
Dhun sun ke tan mann dole

Jamuna kinare
Muskil hai jana
Jamuna kinare
Muskil hai jana
Deti hai sakhiya
Mohan ko tana
Deti hai sakhiya
Mohan ko tana
So jaye jab
Meri sab nanadiya
Tu bhi sawirya
Meri gali aana
Bansuriya bole
Madhur ras ghole
Kya bole kya bole
Dhun sun ke tan mann dole.