Tu Hi Mera Rab Lyrics | Ishq Junoon

                        
                        Thodi wafayen maangi maine
Thoda sa maanga maine waada
Ishq maanga hai maine tumse
Maanga kya tumse maine zyada

Main tera khwab ban jaunga
Main teri ragon mein rang jaaun
De mujhe khudi main tu panahein
Bin tere main kuch na chahun

Tu hi mera rab hai
Tu hi mera kal hai

Tu meri duaon ka sahil
Tu meri khwahishon ki ho manzil

Zid hai meri paun tujhe
Bin tere kuch na ho haasil

Main tera khwab ban jaaun
Main teri ragon mein rang jaaun

De mujhe khudi main tu panahein
Bin tere main kuch na chaahun

Tu hi mera rab hai
Tu hi mera kal hai
Tu hi mera rab hai
Tu hi mera kal hai

Tu meri saanson ka humsafar
Tu meri chaahton ki hai umar

Saup doon tujhe zindagi
Aa bana mujhko tu humnazar

Main tera khwab ban jaaun
Main teri ragon mein rang jaaun

De mujhe khudi main tu panahein
Bin tere main kuch na chaahun

Tu hi mera rab hai
Tu hi mera kal hai
Tu hi mera rab hai
Tu hi mera kal hai.