Apna Kaun Paraya Kaun Lyrics | Isi Life Mein !

                        
                        Apna kaun paraya kaun
Apna kaun paraya kaun

Apno ne vanvaas diya….
Apno ne vanvaas diya,
Shri ram ko sarju paar
Aur paraya tha jo kevat,
Ban gaya haathon ki patwaar

Koi man mein reh ke man ke,
Sau sau tukde kar jaaye
Koi man se door ho phir bhi,
Yeh man sukh se bhar jaaye

Aaj hai kyun yeh man maun
Apna kaun paraya kaun.