Ai Sanam Aaj Yeh Kasam Khaye Lyrics | Jahan Ara

                        
                        ai sanam aaj yeh kasam khaye
mudke abb dekhane kaa nam na le
pyar kee wadiyo me kho jaye

ai sanam aaj yeh kasam khaye
fasale pyar ke mita dale
aur duniya se dooriar ho jaye

iss mohobbat ke siwa aur na kuchh yad rahe
ishk duniya kee tamannao se aajad rahe
teree aakhon ke siwa jindagee aur hain kya
teree chahat kaa nasha, bekhudee aur hain kya

jis taraf jaye, baharo ke salam aayenge
aasmano se yeh rangin payaam aayenge
teraa jalwa hain jaha, meree jannat hain waha
tere hotho kee hasin, sau baharo kaa samaan

apna iman fakata, apanee mohabbat hogee
har ghadee ishk kee ek taaja kayamat hogee
dekhakar range wafa, muskurayega khuda
aur sochega jara, ishk kyo paida kiya