Jaisi Karni Waisi Bharni (female) Lyrics | Jaisi Karni Waisi Bharni

Lyricist : Indeevar
Music Director : Vimal Kumar , Rajesh Roshan
Singer : Sadhana Sargam
                        
                        jo boyega wo hi payega jo boyega wo hi payega
tera kiya aage aayega sukh dukh hai kya fal karmo ka
jaisi karni waisi bharni jaisi karni waisi bharni

jaisi karni waisi bharni jaisi karni waisi bharni
jo boyega wo hi payega
tera kiya aage aayega sukh dukh hai kya fal karmo ka
jaisi karni waisi bharni jaisi karni waisi bharni

sabse badi puja hai mat pita ki sewa
sabse badi puja hai mat pita ki sewa
kismat walo ko hi milta hai ye mauka
hath se apne kho mat dena mauka ye khidmat ka
jannat ka dar khul jayega tera kiya aage aayega
sukh dukh hai kya fal karmo ka
jaisi karni waisi bharni jaisi karni waisi bharni
jaisi karni waisi bharni jaisi karni waisi bharni

chahe na puje murat chahe na tirth jaye
chahe na puje murat chahe na tirth jaye
maat pita ke tan man me sare dev samaye
tu inka dil khush rakhe to ishwar khush ho jaye
bhagwan tujhko mil jayega tera kiya aage aayega
sukh dukh hai kya fal karmo ka
jaisi karni waisi bharni jaisi karni waisi bharni
jaisi karni waisi bharni jaisi karni waisi bharni.