Ruth Ke Tum To Chal Diye Lyrics | Jalti Nishani

                        
                        ruth ke tum to chal diye
ab main duwa to kya karu
ruth ke tum to chal diye
ab main duwa to kya karu
jisne hume juda kiya
aise khuda ko kya karu
ruth ke tum to chal diye

jeene ki aarzu nahi
haal na puchh charagar
jeene ki aarzu nahi
haal na puchh charagar
dard hi ban gaya dava
ab main dava to kya karu
ruth ke tum to chal diye

sunke meri sada-e-gham
ro diya aasman bhi
ro diya aasman bhi
sunke meri sada-e-gham
ro diya aasman bhi
ro diya aasman bhi
tum tak na jo pahunch sake
aisi sada ko kya karu
ruth ke tum to chal diye
ab main duwa to kya karu
ruth ke tum to chal diye