Kya Karoon Main To Lyrics | Jhutha Sach

                        
                        kya karu main to nikli chhupa ke
kya karu main to nikli chhupa ke

bich me payal bol padi
o kya karu main to nikli chhupa ke
bich me payal bol padi

rah gayi thi bas char kadam pe
saajan ki galiya
rah gayi thi bas char kadam pe
saajan ki galiya
milne hi wali thi apne piya se
milne hi wali thi apne piya se
itne me pagal bol padi
kya karu main to nikli chhupa ke
bich me payal bol padi

jaag pade sab apne paraye
puchhan na laage na
haye jaag pade sab apne paraye
puchhan na laage na
kuch na bana to main laaj se mukh pe
kuch na bana to main laaj se mukh pe
daal ke aanchal bol padi
kya karu main to nikli chhupa ke
bich me payal bol padi

dosh kise du jab main khud hi

vyakul thi itni
dosh kise du jab main khud hi
vyakul thi itni
bahke kadam to har ghunghru se
bahke kadam to har ghunghru se
jiyra ki halchal bol padi
ho kya karu main to nikli chhupa ke
bich me payal bol padi.