Indian Film History

Begunaho Ka Rang Hai Lyrics

From Johar In Kashmir (1966)

Lyricist
Indeevar
Duration
7:01
Begunaho ka lahu hai ye rang layega Begunaho ka lahu hai ye rang layega Dage daman pe na aaya to dil pe aayega Aane wala hai din kayamat ka Koi jalim na baksha jayega Koi jalim na baksha jayega Begunaho ka lahu hai ye rang layega Hamare bhai hue hum na hue Karbala ke sitam to kam na hue Julm dunia me ab bhi jinda hai Admiyat hai ke sharminda hai Admiyat hai ke sharminda hai Maa sahido ki ab bhi roti hai Julm ki had bhi koi hoti hai Hak parashto ko bina hak mara Haye dil gum se hai para para Haye dil gum se hai para para Ye did ki ho hukumat ya kisi jalim ki Har ek julm ka insaf kiya jayega Har ek julm ka insaf kiya jayega Aane wala hai din kayamat ka Koi jalim ka baksha jayega Begunaho ka rang hai ye rang layega Jarre jarre me gujar hak ka hai Sabki harkat pe najar rakhta hai Nek or pakshpa nahi usse Khuda to sab ki khabar rakhta hai Khuda to sab ki khabar rakhta hai Mehar pe aaye to gaffar bhi hai Kahar pe utre to jaffar bhi hai Yu to har din se upar hai khuda Admiyat ka tarafdar bhi hai Admiyat ka tarafdar bhi hai Shole nafrat ke dilo me na tu bhadka jalim Apni hi aag me tu aap ki jal jayega Apni hi aag me tu aap ki jal jayega Aane wala hai din kayamat ka Koi jalim na baksha jayega Begunaho ka lahu hai ye rang layega Nahi kafi hai musalman hona Bak nahi haki chatura hona Allah ka pyar pane ko Lazmi hai tera insan hona Lazmi hai tera insan hona Amal to sath tere ho lega Khun to sar chad kar bolega Khuda majhab hi na dekhega tera Teri insaniyat bhi tolega Teri insaniyat bhi tolega Pyar par rakhti hai buniyad har ek majhab ki Koi talwar pe rakhega to kya payega Koi talwar pe rakhega to kya payega Aane wala hai din kayamat ka Koi jalim na baksha jayega Begunaho ka lahu hai ye rang layega Tune pyaso se pyale chine Tune hotho se niwale chine Tune shame jalai kabro par Or makano se ujale chine Or makano se ujale chine Dilo me farak is kadar dale Tune dariya bhi khun se bhar dale Ek dharti banai allah ne Tune tukde hazar kar dale Tune tukde hazar kar dale Gunah karta hai tu kiske liye soch to le Khali hatho ki tu tanha yaha se jayega Khali hatho ki tu tanha yaha se jayega Aane wala hai din kayamat ka Koi jalim na baksha jayega Begunhao ka lahu hai ye rang layega Ye padoshi se ladai kaisi Sabhi bhai hai judai kaisi Ye tabahi ki sari bate hai Isme insan ki bhalai kaisi Isme insan ki bhalai kaisi Nek niyat ko tu arman karle Admiyat ko tu iman karle Yahi islam ki nashihat hai Apne dil ko bhi musalman karle Apne dil ko bhi musalman karle Had se aage na tu badh waqt hai karle tauba Roz samjhane ko parwesh nahi aayega Roz samjhane ko parwesh nahi aayega Aane wala hai din kayamat ka Koi jalim na baksha jayega Begunhao ka lahu hai ye rang layega Dag daman pe na aaya to dil pe aayega.

More songs from Johar In Kashmir

Begunaho Ka Rang Hai Lyrics - Johar In Kashmir (1966) | Indian Film History