Har Ek Faisala Har Imtehan Chhod Diya Lyrics | Kahaani Gudiya Ki

                        
                        har ek faisala har imtehan chhod diya
har ek faisala har imtehan chhod diya
naa chahte hue bhi ye jahan chhod diya
har ek faisala har imtehan chhod diya
har ek faisala

jab isme sans bhi lena muhal hone laga
jab isme sans bhi lena muhal hone laga
to hamne jism ka aakhir makan chhod diya
to hamne jism ka aakhir makan chhod diya
naa chahte hue bhi ye jahan chhod diya
har ek faisala har imtehan chhod diya

jamin ko gher liya gum ne to kaha jate
jamin ko gher liya gum ne to kaha jate
khuda ka shukrr hai jo aasman chhod diya
khuda ka shukrr hai jo aasman chhod diya
naa chahte hue bhi ye jahan chhod diya
har ek faisala har imtehan chhod diya

bani jo bhul bhulaiya hamari rahgujar
bani jo bhul bhulaiya hamari rahgujar
safar hayat ka phir darmaya chhod diya
safar hayat ka phir darmaya chhod diya
naa chahte hue bhi ye jahan chhod diya
har ek faisala har imtehan chhod diya.