Mera Peecha Chhodne Ka Lyrics | Karan

                        
                        mera peecha chhod dene ka tum
kitna rupaiya loge kitna rupaiya loge
bolo ek rupaiya kya ya do rupaiya ha ya
teen rupaiya ya pura chaar rupaiya
pyar ko paiso me tole tu bada anadi hai
khel pyar ka na jaane tu kaisa khiladi hai
mera peecha chhod dene ka tum
kitna rupaiya loge kitna rupaiya loge

kis mushkil me jaan fasi hai rab mera kya hoga
kis buddhu se pada hai pala hay meri tauba
are kis mushkil me jaan fasi hai rab mera kya hoga
kis buddhu se pada hai pala hay meri tauba
ladki ha ya koi ajuba tirchi aadi hai
bin dhakke ke chale nahi ye aisi gadi hai
isi gadi me to chalna hai
isi gadi me to chalna hai
bolo chalne ka kya doge
bolo chalne ka kya doge

tere sang chalne se accha mai jogi ban jau
jogi kyu banta hai pagle aaja pyar sikhaun
are tere sang chalne se accha mai joagi ban jau
jogi kyu banta hai pagle aaja pyar sikhaun
pyar karunga mai tujhse mera kaam nahi hoga
kaam nahi kiya to mera naam nahi hoga
mere pyar bina aye sanam
mere pyar bina aye sanam
tum naam kya kar loge
tum naam kya kar loge
chalo maan gaye janaman
chalo man gaye janaman
warna deewana kar dooge
warna deewana kar dooge