Mai Teri Tamanna Karta Hu Lyrics | Khaibar

                        
                        main teri tamanna karta hu
taqdir se lekin darta hu
main teri tamanna karta hu
taqdeer se lekin darta hu
o janiya, janiya
mera dil mujhko de
mera dil mujhko de
main teri tamanna karta hu
taqdeer se lekin darta hu

mujhe tujhse nahi hai koyi gila
milna tha mujhe jo gham wo mila
ho ho ho
taqdir banane wale se
taqdir ka shikva karta hu
o janiya, janiya
mera dil mujhko de
mera dil mujhko de

patthar na samajh insan hu main
ho ho ho
ik thahra hua tufan hu main
ho ho ho
mujhe jaan se apni pyar nahi
main aan pe apni marta hu
o janiya, janiya
mera dil mujhko de
mera dil mujhko de
main teri tamanna karta hu
taqdir se lekin darta hu
main teri tamanna karta hu
taqdir se lekin darta hu