Indian Film History

Hai Kali Kali Ke Lab Par Lyrics

From Lala Rukh (1958)

Lyricist
Kaifi Azmi
Duration
3:14
Hai kali kali ke lab par Tere husn ka fasaana Mere gulsitaan ka sab kuchh Teraa sirf muskurana Hai kali kali ke lab par Tere husn ka fasaana Mere gulsitaan kaa sab kuchh Teraa sirf muskurana Hai kali kali ke lab par Tere husn ka fasaana Ye khule khule se gesu Uthe jaise badliyaan si Ye jhuki jhuki nigaahen Gire jaise bijliyaan si Tere naachte kadam mein hai Bahaar ka khazaana Hai kali kali ke lab par Tere husn kaa fasaana Mere gulsitaan kaa sab kuchh Tera sirf muskurana Hai kali kali ke lab par Tere husn ka fasaana Tera jhoomna machalna Jaise zar badal badal ke Mera dil dhadak raha hai Tu lachak sambhal sambhalke Kahin ruk na jaaye zaalim Is mod par zamaana Hai kali kali ke lab par Tere husn ka fasaana Mere gulsitaan ka sab kuchh Tera sirf muskuraana Hai kali kali ke lab par Tere husn ka fasaana.

More songs from Lala Rukh

Hai Kali Kali Ke Lab Par Lyrics - Lala Rukh (1958) | Indian Film History