Indian Film History

Yaq Ba Yaq Lyrics

From Luckhnowi Ishq (2015)

Lyricist
Shakeel Azmi
Duration
2:30
Dekha hai manzar yeh kaisa Ye aankhein khuli ki khuli reh gayi Chaha thaa udna dil mera Auron ki udaane kati reh gayi Kuchh aisa huaa hai aansu hi duaan hai Khamosh si jubaan hai Sab kuch dhuaan dhuaan hai Royi royi zindagi yaq ba yaq kyun Khoyi khoyi har khushi yaq ba yaq kyun Tuta tuta hausla yaq ba yaq kyun Rutha rutha hai khuda yaq ba yaq kyun Subahaa ki aaghosh mein Thaa andhera saa ghana Dil kare kis se ghilaa Yaar hi dushman bana Zakhmo se dar badar Aa phirta hoon darbadar Phoolo pe hai fizaa Kaanto pe ab hai ghuzar Kuchh aisa huaa hai aansu hi duaan hai Khamosh si jubaan hai Rutha saa meherbaan hai Royi royi zindagi yaq ba yaq kyun Khoyi khoyi har khushi yaq ba yaq kyun Tuta tuta hausla yaq ba yaq kyun Rutha rutha hai khuda yaq ba yaq kyun Zindagi ki aankh mein bikhra bikhra khwaab hai Socha kya tha kya huaa dil soch ke betaab hai Tum pe kiya yakeen haan they galat hum hi Saansein to hai bachi jeene ki khwahish ab nahin Kuchh aisa huaa hai aansu hi duaan hai Khamosh si jubaan hai Rutha saa meherbaan hai Royi royi zindagi yaq ba yaq kyun Khoyi khoyi har khushi yaq ba yaq kyun Tuta tuta hausla yaq ba yaq kyun Rutha rutha hai khuda yaq ba yaq kyun.

More songs from Luckhnowi Ishq

Yaq Ba Yaq Lyrics - Luckhnowi Ishq (2015) | Indian Film History