Ab Na Jagegi Ye Kismat So Chuki Lyrics | Madhubala

                        
                        ab na jagegi ye kismat so chuki
ab na jagegi ye kismat so chuki
aasma ki mehrbanai ho chuki
hay ho chuki
aasma ki mehrbani ho chuki
hay ho chuki
ab na jagegi ye kismat so chuki

ek arsa dil ko bahlate rahe
ek arsa dil ko bahlate rahe
ye kahani bhi purani ho chuki
ye kahani bhi purani ho chuki

duniya kahti hain, bahar aane ko hain
duniya kahti hain, bahar aane ko hain
aane ko hain
dil ye kahata hain javani ho chuki
dil ye kahata hain javani ho chuki

unko rahm na aaya mere haal par
unko rahm na aaya mere haal par
kitane aansu aankh me the ro chuki
kitane aansu aankh me the ro chuki
aasma ki meharbani ho chuki
hay ho chuki
aasma ki mehrbani ho chuki
hay ho chuki
ab na jagegi ye kismat so chuki