Tu Agar Dene Pe Aa Jaye Lyrics | Magic Carpet

Lyricist : Zia Dehlvi
Music Director : Ram Prasad , Ram Prasad
Singer : Usha Mangeshkar
                        
                        tu agar dene pe aa jaye kise kya na mile
phul ko banwara mile shama ko parvana mile
ek inayat ki najar dono jahan ke malik 
jiski diwani hu mai mujhko vo diwana mile
de rihayi kaide gam se mustafa ka vasta
de rihayi kaide gam se mustafa ka vasta
mushkile aasan kar mushki kusha ka vasta
de rihayi kaide gham se mustafa ka vasta

lahu ko jab tere karm ka sahara mil gaya
dubti kasti ko toofan me kinara mil gaya
paar kar beda mera daste khuda ka vasta
de rihayi kaide gham se mustafa ka vasta

tune jab chaha to angare bane phulo ke haar
aadmi luta khalil ull alla me rut se bahar
raham barsa tujhko rahmat ko ghata ka vasta
de rihayi kaide gham se mustafa ka vasta

kon sunta hai yaha majbur insano ki baat
khichta hai sar se chadar bejijak shaitan ka hath
laaz rakh meri janaze saiyda ka vasta
de rihai kade gham se mustafa ka vasta

tu jo chahe har sitam har zulm ka sar todd de
ek kali marzi se teri lakh pathar tod de
paanv ki bedi gale to keh aksar tod de
tod de khanjar sahide karbala ka vasta
janabe saiyada ka vasta mustafa ka vasta
mushkil khusa ka vasta