Naina Bhar Aaye Neer Data Lyrics | Mahatma

                        
                        naina bhar aaye neer data
naina bhar aaye neer
naina bhar aaye neer data
naina bhar aaye neer

chanchal man ki bhul se jivan
jaise kaali raat, jaise kaali raat
darshan kab dikh laaoge aur
kab hogi parbhaat
mitegi kab ye peer data
naina bhar aaye neer
naina bhar aaye neer data
naina bhar aaye neer

kab honge gun gaate gaate
sufal mere sangeet data
sufal mere sangeet
mitha hai jab naam tumhara
madhur kar do geet
harday kar do thir data
naina bhar aaye neer
naina bhar aaye neer data
naina bhar aaye neer

paap aur punay dono se chhuda do
dekar naya sahara, dekar naya sahara
paap aur punay dono se chhuda do
dekar naya sahara, dekar naya sahara
tum bin sab aasha jhuthi
bin deeya kahan ujiyara
chahe jale sharir data
naina bhar aaye neer
naina bhar aaye neer data
naina bhar aaye neer