Do Bhai Akele Rah Gaye Lyrics | Mazdoor Zindabaad

                        
                        do bhai akele rah gaye ek bahan kahi kho gayi
do bhai akele rah gaye ek bahan kahi kho gayi
sare jag me dhundh liya sare jag me dhundh liya
subah se sham ho gayi
do bhai akele rah gaye ek bahan kahi kho gayi

kaun hai inka dunia bhar me itne dukh choti si umar me
in bacho se bair hai kaisa rama ye andher hai kaisa
pahle hi dukh kya kam the pahle hi dukh kya kam the
kyu bigdi kismat so gayi
do bhai akele rah gaye ek bahan kahi kho gayi

o dunia ko palne wale sabki balaye talne wale
inke bhi dukh dard mitade bhai bahan ko fir se milade
dekh to inko rote rote dekh to inko rote rote
kitni der ho gayi
do bhai akele rah gaye ek bahan kahi kho gayi.