Aate Hi Jawani Ka Mausam Lyrics | Mulzim

                        
                        aate hi jawani ka mausam
betab najar ho jati hai
aate hi jawani ka mausam
betab najar ho jati hai
parde me mohabbat lakh chhupe
parde me mohabbat lakh chhupe
duniya ko khabar ho jati hai
aate hi jawani ka mausam

jab rukh pe bikharti hai julfe
raato ke andhere chhate hai
jab rukh pe bikharti hai julfe
raato ke andhere chhate hai
raato ke andhere chhate hai
jab chehre se julfe hatti hai
jab chehre se julfe hatti hai
duniya me sahar ho jati hai
aate hi jawani ka mausam
betab najar ho jati hai
aate hi jawani ka mausam

duniya pe jo kabu pana ho
to husn ki najro me aao
duniya pe jo kabu pana ho
to husn ki najro me aao
to husn ki najro me aao
uthti hai nigah-e-husn jidhar
uthti hai nigah-e-husn jidhar
duniya bhi udhar ho jati hai
aate hi jawani ka mausam
betab najar ho jati hai
parde me mohabbat lakh chupe
dunia ko khabar ho jati hai
aate hi jawani ka mausam.