Tu Mohan Mera Main Murali Teri Lyrics | Murliwala

                        
                        tu mohan mera aa aa
tu mohan mera
main murali teri
apne praano ki sargam sunaaungi
apne praano ki sargam sunaaungi
tore hontho se lag lag jaaungi
tu mohan mera aa aa
tu mohan mera

bahe jamuna ki jab tak ye dhara
nahi chhute ye sath humara
bahe jamuna ki jab tak ye dhara
nahi chhute ye sath humara
tu deepak mera aa aa
tu deepak mera main baati teri
apne jivan ki jot jagaaungi
tore praano me ghul mil jaaungi
tu mohan mera aa aa
tu mohan mera

ye madhur milan ki raaten
ye ras se bhari barsaate
ye madhur milan ki raaten
ye ras se bhari barsaate
tu baadal mera aa aa
tu baadal mera main bijli teri
apne man ki tadap dikhlaaungi
tore hrday me chhup chhup jaaungi
tu mohan mera aa aa
tu mohan mera

ye chanda hai jab tak pyara
rahe haatho me hath humara
ye chanda hai jab tak pyara
rahe haatho me hath humara
tu saagar mera aa aa
tu saagar mera main sarita teri
apne jivan ki bhent chadhaungi
tori najro se mil mil jaaungi
tu mohan mera aa aa
tu mohan mera