Guzar Gaye Jo Haseen Zamane Lyrics | My Love

Lyricist : Anand Bakshi
Music Director : S Sukhdev , Daan Singh
Singer : Asha Bhosle
                        
                        Guzar gaye jo haseen zamane
Khayal mein phir ubhar rahe hai
Udas dil ki buji umango mein
Ek naya rang bhar rahe hai
Guzar gaye jo

Yeh kaise mumkin hai hum nasino
Ke dil ko dil ki khabar na pauche
Yeh kaise mumkin hai hum nasino
Ke dil ko dil ki khabar na pauche
Khabar na pauche
Unhe bhi hum yaad aate honge
Ke jinko hum yaad kar rahe hai
Guzar gaye jo haseen zamane
Khayal mein phir ubhar rahe hai
Guzar gaye jo

Wo bewafa to nahi hai lekin
Yeh bewafai nahi to kya hai
Wo bewafa to nahi hai lekin
Yeh bewafai nahi to kya hai
Nahi to kya hai
Chura ke nazre jo yu takuvar
Mere samne se guzar rahe hai
Guzar gaye jo haseen zamane
Khayal mein phir ubhar rahe hai.
Guzar gaye jo.