Kya Bataye Ki Mohabbat Ki Kahani Kya Hai Lyrics | Nargis

                        
                        kya bataye ki mahobbat ki kahani kya hai
kya bataye ki mahobbat ki kahani kya hai
aansuo ne jise pala aansuo ne jise pala
wo jawani kya hai wo jawani kya hai
kya bataye ki mahobbat ki kahani kya hai
kya bataye ki mahobbat ki kahani kya hai

yad me layla ke majnu kahi rote dekha
yad me layla ke majnu kahi rote dekha
maut ki nind me farhad ko sote dekha
maut ki nind me farhad ko sote dekha
khak me romiyo ki lash tadafti dekhi
khak me romiyo ki lash tadafti dekhi
juliyat lash pe khanjar se lipatati dekhi
juliyat lash pe khanjar se lipatati dekhi
kya bataye ki mahobbat ki kahani kya hai
kya bataye ki mahobbat ki kahani kya hai

hir ne jahar ko hontho se lagaya has ke
hir ne jahar ko hontho se lagaya has ke
maut ko aap hi ranjhe ne bulaya has ke
maut ko aap hi ranjhe ne bulaya has ke
tipusar ke liye vingasar ki mahobbat dekhi
tipusar ke liye vingasar ki mahobbat dekhi
hushn ke paavo me duniya ki hukumat dekhi
hushn ke paavo me duniya ki hukumat dekhi
kya bataye ki mahobbat ki kahani kya hai
kya bataye ki mahobbat ki kahani kya hai

duniya walo duniya walo
abhi tak pyar ka dil rota hai
abhi tak pyar ka dil rota hai
aaj bhi duniya me aaj bhi duniya me
ulfat pe sitam hota hai
ulfat pe sitam hota hai
rote dil duniya me ek aag laga dete hai
rote dil duniya me ek aag laga dete hai
pyar ke aansu jamane ko baha dete hai
pyar ke aansu jamane ko baha dete hai
ek tufan hai ye aankh ka pani kya hai
ek tufan hai ye aankh ka pani kya hai
kya bataye ki mahobbat ki kahani kya hai
kya bataye ki mahobbat ki kahani kya hai