Aaya Na Karo Lyrics | Nauker

                        
                        Aaya na karo gudiya mere paas
Aaya na karo gudiya mere paas
Dukh mera sun ke tum ho jaogi udas
Aaya na karo gudiya mere paas
Dukh mera sun ke tum ho jaogi udas

Mai to wo hu ke dunia me
Aaye hai jo aasu pine ke liye
Mera jina kya jina
Ke jiti hu mai yuhi jine ke liye
Sapna koi na koi aas
Aaya na karo gudiya mere paas
Aaya na karo gudiya mere paas
Dukh mera sun ke tum ho jaogi udas

Mujhko mamta ki pyasi tu hari najar
Karti hai bekarar
Maa ke aachal ka saya mai de na saku
Kitna chahu bar bar
Kuch bhi nahi hai mere pas
Aaya na karo gudiya mere paas
Aaya na karo gudiya mere paas
Dukh mera sun ke tum ho jaogi udas.