Ham Me Hai Kya Ke Hame Koyi Hasina Chahe Lyrics | Nawab Sahib

                        
                        ham me hai kya ke hame koyi hasina chahe
ham me hai kya ke hame koyi hasina chahe
sirf jajbat hai jajbaat me kya rakhkha hai
ham me hai kya ke hame koyi hasina chahe

kiski takdir me hai unke mahkte kesu
kiske ghar falega us mast najer ka jadu
kiski takdir me hai unke mahkte kesu
kiske ghar falega us mast najer ka jadu
in paresan swalat me kya rakha hai
ham me hai kya ke hame koyi hasina chahe

itna divana na ban ai dile betab sambhal
wo agar mil bhee liye tujhase to itna naa machal
itna divaana na ban ai dile betaab sambhal
wo agar mil bhee liye tujhase to itna naa machal
betalukh si mulakat me kya rakha hai
ham me hai kya ke ham me koyi hasina chahe

muskurahat ko mohabbat ka ishaara na samajh
mil liye honge wo yu hi unhe apna na samajh
muskurahat ko mohabbat ka ishara na samajh
mil liye honge wo yu hi unhe apna na samajh
aise nadan khayalato me kya rakhkha hai
ham me hai kya ke ham me koyi hasina chahe
sirf jajbaat hai jajbat me kya rakhkha hai
ham me hai kya ke hame koyi hasina chahe