Indian Film History

Khuda Na Khasta Lyrics

From One By Two (2014)

Duration
5:46
Tukdon ki yeh tasveer hai Tukdon mein bhi Lekin haseen tehreer hai Kehne ko yun keh leejiye Tewar bhari se badnuma Yeh zanjeer hai Yeh zindagi jua hai Kisko yakeen hua hai Baaziyan na munasib Kahin badh jaaye na Ik tarfa safar ke Lab pe yehi dua hai Kahin na ganwara Mod koi mud jaaye na Khuda na khasta Khuda na khasta Khudaya khair kar Khuda na khasta Ik haath mein sau haath hai Aur doosre mein ranjishein hain Jazbaat hain Na jaane kyun iske liye Kohraam mein kuchh Itminaan si baat hai Yeh zindagi dhuaan hai Kisne ise chhua hai Titliyon ki tarah shokh Hai udd jaaye na Ek tarfa safar ke Lab pe yehi dua hai Kahin na ganwara Mod koi mud jaaye na Khuda na khasta Khuda na khasta Khudaya khair kar Khuda na khasta O..jeene ko jo aashiyana biyabaan hai O..palta ussi aashiyaane mein toofan hai Saaiyaan saaiyaan Itni silvatein maazi mein padi Jeene ki wajah unse thi badi O..zaaya baat kyun Shikwon mein karein Adhoori hasratein Dar pe hain khadi O..yeh zindagi nasha hai Takleef mein maza hai Iski fitrat mein hi jung hai Chhid jaaye na Ik tarfa safar ke Lab pe yehi dua hai Kahin na ganwara Mod koi mud jaaye na Khuda na khasta Khuda na khasta Khudaya khair kar Khuda na khasta Khuda na khasta Khuda na khasta Khudaya khair kar Khuda na khasta.

More songs from One By Two

Khuda Na Khasta Lyrics - One By Two (2014) | Indian Film History