Indian Film History

Inasaanon Ne Paise Ke Liye Lyrics

From Paisa Ya Pyaar (1969)

Music
Ravi
Duration
3:58
insaano ne paise ke liye aapas ka pyaar mitaa daala insaano ne paise ke liye aapas ka pyaar mitaa daala hanste baste ghar phunk diye dharti ko nark bana daala mitti se nikala sone ko, sone se banaae mahal magar mitti se nikala sone ko, sone se banaae mahal magar jajbaato ke naazuk rishte ko mitti ke tale dafna daala insaano ne paise ke liye aapas ka pyaar mitaa daala din aur dharam ko haar diyaa neki ko badi par vaar diya din aur dharam ko haar diyaa neki ko badi par vaar diya mandir masjid aur girjo ko baiko ki bhet chadha daala pyaar apne jagah khud daulat hai ye baat naa samajhi insaa pyaar apne jagah khud daulat hai ye baat naa samajhi insaa kudrat ki banaai daulat kaa sikko me mol laga daala insaano ne paise ke liye aapas ka pyaar mitaa daala.

More songs from Paisa Ya Pyaar

Inasaanon Ne Paise Ke Liye Lyrics - Paisa Ya Pyaar (1969) | Indian Film History