Sunaye Kisko Afsana Lyrics | Parbat

                        
                        Sunaye kisko afsana
Kisi par dil hai diwana
Sama pe jaise mar jana
Hame aata hai mar jana
Sunaye kisko afsana

Ab teri khushi mein
Meri khushi hai
Ab teri khushi mein
Meri khushi hai
Kya jindagi hai kya jindagi hai
Dard nishani teri
Dard nishani teri pati rahi hai
Kya jindagi hai kya jindagi hai
Juba pe kuchh bhi na lana
Yahi pe jal jana
Unhe aata hai tadpana
Hame aata hai mar jana
Sunaye kisko afsana

Ab tere liye hum utha rahe gum
Ab tere liye hum utha rahe gum
Dil ko jalake dil ko jalake
Jo bhi kaha hai tumne
Jo bhi kaha hai tumne
Wo hamne mana hai
Khud ko mitake khud ko mitake
Bhala kyu gum se ghabrana
Ye dil hai tera najrana
Unhe aata hai tadpana
Hame aata hai mar jana
Sunaye kisko afsana.