Indian Film History

Aaj Ka Din Hai Bada Mahan Lyrics

From Parivar (1967)

Duration
4:05
Aaj hai do october ka din Aaj ka din hai bada mahan Aaj ke din phool khile hai Jinse mahka hindustan Nam ek ka bapu gadhi Or ek lal bahadur hai Ek ka nara amar desh me Jai jawan jai kisan Jai jawan jai kisan Bapu jisne manwata ka Dunia ko sandesh diya Bagdor bharat ki sambhali Nehru ko adesh diya Lal bahadur jisne hamko Garw se jina sikhlaya Sach pucho to geeta ka Adhyaya usine dohraya Jai jawan jai kisan Jai jawan jai kisan Vishwa shanti ke hit me dekho Surviro ne kiye hai tyag Ek ka nara amar desh me Jai jawan jai kisan Jai jawan jai kisan Mere munne do october ke Subh din hi tu janma Meri yahi dua hai ki Un jaisa hi tu banna Or un jaisa na ban apye To fir itna karna Kam se kam unke batalaye Raste pe hi tu chalna Jai jawan jai kisan Jai jawan jai kisan Tumpe dunia naj karegi Tu hai un veero ki shan Ek ka nara amar desh me Jai jawan jai kisan Jai jawan jai kisan Aaj hai do october ka din Aaj ka din hai bada mahan Aaj ke din phool khile hai Jinse mahka hindustan Jai jawan jai kisan Jai jawan jai kisan.

More songs from Parivar

Aaj Ka Din Hai Bada Mahan Lyrics - Parivar (1967) | Indian Film History