Pyaar Ka Tum Badla Pyaar Se Utaaro Lyrics | Parmatma

Lyricist : Indeevar
Music Director : Chand , K Babuji
Singer : Asha Bhosle
                        
                        pyar ka tum badla pyar se utaaro
duniya mein rah ke duniya sanwaaro
dil ko na maaro na rogi bano
ho swami bhog ki umar mein na jogi bano
pyar ka tum badla pyar se utaaro
duniya mein rah ke duniya sanwaaro
dil ko na maaro na rogi bano
ho swami bhog ki umar mein na jogi bano

roop ka tumne ras na piya
duniya mein aake fir kya kiya
roop ka tumne ras na piya
duniya mein aake fir kya kiya
bhagwaan khud ko dikhata hai tab
koi rasili hasina banata hai jab
pyar sachcha hai agar to pooja hai
pyar sachcha hai agar to pooja hai
dil ko na maaro na rogi bano
ho swami bhog ki umar mein na jogi bano
pyar ka tum badla pyar se utaaro
duniya mein rah ke duniya sanwaaro
dil ko na maaro na rogi bano
ho swami bhog ki umar mein na jogi bano

pyar to hai ek aaradhna
pyar mein hoti nahi vaasna
pyar to hai ek aaradhna
pyar mein hoti nahi vaasna
sansar ko dar ke tyaago nahi
jindgaani jawani se bhago nahi
pyar ka naam duja hai parmatma
pyar ka naam duja hai parmatma
dil ko na maaro na rogi bano
ho swami bhog ki umar mein na jogi bano
pyar ka tum badla pyar se utaaro
duniya mein rah ke duniya sanwaaro
dil ko na maaro na rogi bano
ho swami bhog ki umar mein na jogi bano