Indian Film History

Ye Hawaayen Sanam Ye Nazaare Lyrics

From Passing Show (1956)

Singers
Geeta Dutt
Music
Manohar
Lyricist
Prem Dhawan
Duration
3:26
Ye hawaayein sanam ye nazaare Keh rehe hain ye karke ishaare Tu ho jaa kissee kaa ho jaa rey Ye hawaayein sanam ye nazaare Zulfon ki chhaaon mein so jaa zaraa Khwaabon ki duniyaa mein kho jaa zaraa Poorey kar le tu armaan dil ke pyaare Ye hawaayein sanam ye nazaare Keh rehe hain ye karke ishaare Kis nashe mein ye jahaan hai Khoyaa khoyaa ye samaa hai Aaj kyaa huaa hai jaadoo Na jaane dil kahaan hai Maine chhodee hai naao tere sahaare Ye hawaayein sanam ye nazaare Keh rahe hain ye karke ishaare Aa duniyaa se begaanaa kar doon tujhe Bin pilaaye hi mastaana kar doon tujhe Raaz dil ke churaa loon tere saarey Ye hawaayein sanam ye nazaare Keh rahe hain ye karke ishaare Tu ho jaa kissee kaa ho jaa rey Ye hawaayein sanam ye nazaare.

More songs from Passing Show

Ye Hawaayen Sanam Ye Nazaare Lyrics - Passing Show (1956) | Indian Film History