Indian Film History

Ye To Pattharon Ka Shaher Hai Lyrics

From Pattharon Ka Shaher (1972)

Lyricist
Irshad Khan
Duration
6:12
Jo zubaan e dil na samajh sakey Jo na keh sakey kabhi dil ki baat Wohi but hai harsu nighaah mein Jahaan dekhiye jahaan jaayiye Thhi nazar ko chaah ki aarzoo Yehi ek apni thhi justaju Ye to pattharon ka shaher hai Yahaan kisko apna banaaiye Wohi walwale wohi marhale Wohi subah o shaam ke silsile Wohi ham rahe wohi tum rahe Wohi zindgaani ke gham rahe Na naseeb apna sambhal saka Na hi waqt hamko badal saka Yahaan zindagi ek zaher hai Ye to ek paraaya shaher hai Kise daag dil ke dikhaaiye Kise daag dil ke dikhaaiye Ye kahaani kisko sunaaiye Ye to pattharon ka shaher hai Yahaan kisko apna banaaiye Mujhe chhod kar wo chale gaye Mere dil ki dil mein hi reh gayi Ik ummeed thi jo bujhi bujhi Mere aansuon mein wo bah gayi Mere dard e dil ka ho kya bhala Mera chaaragar hi chala gaya Main jiyun to aakhir kis liye Ke nahin hai koi mere liye Kahaan jaake maut ko dhoondhiye Kahaan jaake maut ko dhoondhiye Kahaan jaan apni ganwaaniye Ye to pattharon ka shaher hai Yahaan kisko apna banaaiye.

More songs from Pattharon Ka Shaher

Ye To Pattharon Ka Shaher Hai Lyrics - Pattharon Ka Shaher (1972) | Indian Film History