Indian Film History

Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan Zulfon Mein Lyrics

From Phir Wohi Dil Laya Hoon (1963)

Duration
3:56
aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan, zulfon mein sitaare bhar lenaa aise hi kabhi jab shaam dhale, tab yaad hamen bhi kar lenaa aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan aayaa thaa yahaan begaanaa saa aayaa thaa yahaan begaanaa saa, chal doongaa kahin deewaanaa saa chal doongaa kahin deewaanaa saa deewaane ki khaatir tum koyi, ilzaam naa apne sar lenaa aise hi kabhi jab shaam dhale, tab yaad hamen bhi kar lenaa aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan rastaa jo mile anjaan koyi rastaa jo mile anjaan koyi aa jaaye agar toofaan koyi aa jaaye agar toofaan koyi apne ko akelaa jaan ke tum aankhon mein na aansoo bhar lenaa aise hi kabhi jab shaam dhale, tab yaad hamen bhi kar lenaa aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan zulfon mein sitaare bhar lenaa aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan.

More songs from Phir Wohi Dil Laya Hoon

Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan Zulfon Mein Lyrics - Phir Wohi Dil Laya Hoon (1963) | Indian Film History