Taqdeer Ka Shikwa Lyrics | Poonam

                        
                        Chaand poonam kaa khilaa
Madbhari ye raat hai
Har sitaare kaa tadapnaa
Mere dil ki baat hai
Taqdeer kaa shiqwaa kaun kare
Taqdeer kaa shiqwaa kaun kare
Gham ko bhi sanwaaraa karte hain
Bhagwaan tumhaari duniyaa mein
Ro ro ke guzaaraa karte hain
Taqdeer kaa shiqwaa kaun kare
Gham ko bhi sanwaaraa karte hain
Bhagwaan tumhaari duniyaa mein
Ro ro ke guzaaraa karte hain

Armaan huye hain veeraane
Aur hosh huye hain deewaane
Armaan huye hain veeraane
Aur hosh huye hain deewaane
Aur hosh huye hain deewaane
Ham chaand ko unke dhokhe mein
Ghabraa ke ishaaraa karte hain
Bhagwaan tumhaari duniyaa mein
Ro ro ke guzaaraa karte hain

Khud aap ko lutata dekhen ham
Har roz uthaayen laakh sitam
Khud aap ko lutata dekhen ham
Har roz uthaayen laakh sitam
Har roz uthaayen laakh sitam
Armaan ke aansoo bahte hain
Jab zikr tumhaara karte hain
Bhagwaan tumhaari duniyaa mein
Ro ro ke guzaaraa karte hain

Ik aankh mein dariyaa chalta hai
Saawan mein mera ghar jalta hai
Ik aankh mein dariyaa chalta hai
Saawan mein mera ghar jalta hai
Saawan mein mera ghar jalta hai
Jis dard ki bheegi raaton mein
Jis dard ki bheegi raaton mein
Ham tum ko pukaara karte hain
Bhagwaan tumhaari duniyaa mein
Ro ro ke guzaaraa karte hain
Taqdeer kaa shiqwaa kaun kare
Gham ko bhi sanwaaraa karte hain
Bhagwaan tumhaari duniyaa mein
Ro ro ke guzaaraa karte hain.