Indian Film History

Ishq Jo Karein Lyrics

From Prakash Electronic (2017)

Duration
1:30
Koyi chehra ho jo aankhon mein Toh neend ude raato mein Koyi chehra ho jo aankhon mein Toh neend ude raato mein Seene se uthe palko pe rukey Lakho khwaabon ke badal Ishq jo bhi kare wo pagal ishq jo na kare wo pagal Ishq jo bhi kare wo pagal ishq jo na kare wo pagal Thodi si ik hulchul Toofan ban jaati hai Aur fir toh har mushkil Asaan ban jaati hai Anjaani raahon pe dil chalne lagta hai Raaton ke sooraj se Dil milne lagta hai Mehsoos ye ho Palak chuaa chooke ankhon ke kajal Ishq jo bhi kare wo pagal ishq jo na kare wo pagal Ishq jo bhi kare wo pagal ishq jo na kare wo pagal Awara yaadon mein dil uljha rehta hai Aur kal ke waado mein dil uljha rehta hai Kuch tumse bas aisi aadat ban jaati hai Jo kuch bhi wo bole aayat ban jaati hai Naa dua lage naa dawa lage jo ho nazro se ghayal Ishq jo bhi kare wo pagal ishq jo na kare wo pagal Ishq jo bhi kare wo pagal ishq jo na kare wo pagal Koyi chehra ho jo aankhon mein Toh neend ude raato mein Koyi chehra ho jo aankhon mein Toh neend ude raato mein Seene se uthe palko pe rukey Lakho khwaabon ke badal Ishq jo bhi kare wo pagal ishq jo na kare wo pagal Ishq jo bhi kare wo pagal ishq jo na kare wo pagal

More songs from Prakash Electronic

Ishq Jo Karein Lyrics - Prakash Electronic (2017) | Indian Film History