Rakh Laaj Mere Sindur Ki Gauri Parvati Lyrics | Ram Hanuman Yuddha

                        
                        rakh laz mere sindur ki gaura parvati
rakh laz mere sindur ki
shiv shankar ki pyari gaura parvati
mohe ek tera hi aasra tu hi taran hari
gaura parvati rakh laz mere sindur ki

hari har ka man harne wali tu satio me maha sati
tujhsa kiska tap hai jispe dol gaye kailash pati
mai dukhiyari ho mai dukhiyari sab kuch hari
aayi sharan tihari gaura parvati
rakh laz mere sindur ki shiv shankar ki pyari
gaura parvati rakh laz mere sindur ki

aachal me dukh dard chipaye siche jiwan ki kyari
kya dukh sahne ko hi janmi janam jali bharat nari
ghayali ki gat ho ghayal ki gat ghayal jane
nari ka dukh nari gaura parvati
rakh laz mere sindur ki
shiv shankar ki pyari gaura parvati
mohe ek tera hi aasra tu hi taran hari
gaura parvati rakh laz mere sindur ki