Hua Ram Ka Janm Badhai Tribhuvan Gata Ha Lyrics | Ram Janma

                        
                        hua ram ka janam badhai tribhuvan gata hai
gagan kaliya barsata hai
hua ram ka janam badhai
tribhuvan gata hai gagan kaliya barsata hai

dware gunj rahi shehnayi
ghar aangan me shobha chai
aayi ghadi suhani aayi koi guthta haar haar ki
koi sajata hai gagan kaliya barsata hai
hua ram ka janam badhai
tribhuvan gata hai gagan kaliya barsata hai

maiya jhula rahi hai jhulna
ghar aaye chanda se lalna
phulo se bhi sundar palna
danvir balbir thal bhar tal lutata hai
gagan kaliya barsata hai
hua ram ka janam badhai
tribhuvan gata hai gagan kaliya barsata hai

sakhiya aangan ko kurati
pure ghar me dip jalati
hil mil mangal git gati
hil mil mangal git gati
raghukul me kuldeepak haye man lahrata hai
gagan kaliya barsata hai
hua ram ka janam badhai
tribhuvan gata hai gagan kaliya barsata hai