O Aisa Lagta Hai Jo Na Hua Hone Ko Hai Lyrics | Refugee

                        aisa lagta hai jo na hua hone ko hai
aisa lagta hai abb dil mera khone ko hai
varna dil kyun dhadkta saanse kyun rukati
neende meri kyun udd jaati

aisa lagta hai jo na hua hone ko hai
aisa lagta hai abb dil mera khone ko hai
varna dil kyun dhadkta saanse kyun rukati
neende meri kyun udd jaati

aisa lagta hai jo na hua hone ko hai

koi chehraa nigaho pe chhane laga
koi abb roj khabo mein aane laga
aayi rut jo nayee jage armaan kayi
mausam koi ghajal jaise gaane laga

aisa lagta hai jaise nasha hone ko hai
aisa lagta hai hosh mera khone ko hai
varna dil kyun dhadkta saanse kyun rukati
neende meri kyun udd jaati

aisa lagta hai jo na hua hone ko hai

mehki mehki fija ne li angdaiya
neeli neeli hai baadal ki parchaiya
thandi thandi hawa layi raag naya
gunji gunji si hain jaise shehnaiya

aisa lagta hai koi mera hone ko hai
aisa lagta hai har fasala khone ko hai