Indian Film History

Samay O Dheere Chalo Lyrics

From Rudaali (1993)

Lyricist
Gulzar
Duration
4:35
Samay o dheere chalo Bujh gayi raah se chhaanv Door hai door hai pi kaa gaanv Dheere chalo, dheere chalo Ji ko bahala liya Tune aas nirash kaa khel kiya Tune aas nirash kaa khel kiya Chaar dino mein koi jiya naa jiya Chaar dino mein koi jiya naa jiya Jahar yeh saans kaa piya naa piya Jahar yeh saans kaa piya naa piya Yeh hava sab le gayi Karvaan ke nishan bhi uda le gayi Karvaan ke nishan bhi uda le gayi Udati hawao vaale milenge kaha Udati hawao vaale milenge kaha Koi bata do mere piya kaa nishan Koi bata do mere piya kaa nishan Samay o dheere chalo Bujh gayi raah se chhaanv Door hai door hai pi kaa gaanv Dheere chalo, dheere chalo.

More songs from Rudaali

Samay O Dheere Chalo Lyrics - Rudaali (1993) | Indian Film History