Chand Jaisa Badan Phool Sa Pehran Lyrics | Rustom-E-Baghdad

Lyricist : Asad Bhopali
Music Director : B J PATEL , N Dutta
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        chand jaisa badan phool sa perahan
jane kitne dino pe sitam dhayega
aaj kal tum kayamat se kuch kam nahi
jo bhi dekhega diwana ho jayega
aaj kal tum kayamat se kuch kam nahi

rukh pe julfe
yu na uljhan me dalo khuda ke liye
dil ki diwangi or badh jayegi
dil ki diwangi or badh jayegi
ishq kuch or gustakh ho jayega
aaj kal tum kayamat se kuch kam nahi
jo bhi dekhega diwana ho jayega
aaj kal tum kayamat se kuch kam nahi

berukhi ka asar kuch na hoga yaha
man jao na lo is kadar imtiha
apni ruswaiyo ka hame dar nahi
apni ruswaiyo ka hame dar nahi
soch lo tum pe ilzam aa jayega
aaj kal tum kayamat se kuch kam nahi
jo bhi dekhega diwana ho jayega
aaj kal tum kayamat se kuch kam nahi

rang kyu ud gaya dil pe kyu hath hai
dil lagaya to darne ki kya bat hai
muskura kar jara ek najar dekh le
muskura kar jara ek najar dekh le
chalte chalte jamana thahar jayega
aaj kal tum kayamat se kuhc kam nahi
jo bhi dekhega diwana ho jayega
chand jaida badan phool sa perahan
jane kitne dino pe sitam dhayega
chand jaida badan phool sa perahan.