Tumse Dil Kya Laga Liya Humne (2) Lyrics | Saathi

                        
                        tumse dil kya laga liya humne
tumse dil kya laga liya humne
khud ko pagal bana liya humne
tumse dil kya laga liya humne
tumse dil kya laga liya humne
khud ko pagal bana liya humne
tumse dil kya laga liya humne

aaj hontho pe tham gayi aahe
aaj aankho me khaab jalte hai
kal jaha pyar mahka mahka tha
aaj us dil me zakhm palte hai
dard sah sah ke muskurate hai
dard sah sah ke muskurate hai
aansuo ko chhupa liya humne
tumse dil kya laga liya humne

uljhi uljhi si zindagi lekar
hum ye kis mod par chale aaye
bewafa tum nahi chalo mana
tum bhi humko samajh nahi paye
jo bhi iljam is jahan ne diya
jo bhi iljam is jahan ne diya
hanste hanste utha liya humne
tumse dil kya laga liya humne
tumse dil kya laga liya humne
tumse dil kya laga liya humne
khud ko pagal bana liya humne