Zindagi Ka Safar (Part 2) Lyrics | Saaya

Lyricist : Anjaan
Music Director : Keshu Ramsay , Bappi Lahiri
Singer : Mohammed Aziz
                        
                        zindagi ka safar hai akela nahi
har kadam pe yaha main tere sath hun
ab tujhe darr hai kya jo hua bhul ja
zindagi ka safar hai akela nahi
aa meri baahon mein aa dil mein chhupa lu tujhe
aa meri baahon mein aa dil mein chhupa lu tujhe
de ke tujhe har khushi gam se bacha lun tujhe
main hun to gam hai kya jo hua bhul ja
zindagi ka safar hai akela nahi

mana hai maasum tu par besahara nahi
mana hai maasum tu par besahara nahi
tujhko sataye koi mujhko gawara nahi
dil pe hai bojh kya jo hua bhul ja
zindagi ka safar hai akela nahi

aankho se aansu tere has ke pi jaau main
aankho se aansu tere has ke pi jaau main
tu muskurade agar mar ke ji jaau main
khul ke phir muskura jo hua bhul ja
zindagi ka safar hai akela nahi
zindagi ka safar hai akela nahi
har kadam pe yaha main tere sath hun
ab tujhe darr hai kya jo hua bhul ja
zindagi ka safar hai akela nahi.