Badi Door Se Aaye Hai Lyrics | Samjhauta

                        
                        Badi dur se aaye hai,
Pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai,
Pyaar ka tofa laaye hain
Apana lo ya thukara do,
Pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai,
Pyaar ka tofa laaye hain

Jo dilon ke nate hain
Woh jode nahi jaate
Jo dilon ke nate hain
Woh jode nahi jaate
Jod liye toh…
Phir tode nahi jaate
Yeh naate, yeh naate
Yeh naate dil mein
Basaye hain,
Pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai,
Pyaar ka tofa laaye hain

Anjaane logo mein koyi
Saathi toh milega
Anjaane logo mein koyi
Saathi toh milega
Koyi toh hoga jo
Hamako samjhega
Yeh sapana, yeh sapana
Yeh sapana dil mein
Sajaaye hain,
Pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai,
Pyaar ka tofa laaye hain

Hm yaar hai yaaron ke
Nibha denge yaari,
Kya samajhe bachche
Hm yaar hai yaaron ke
Nibha denge yaari
Yaari hai hamako saari
Duniya se pyaari
Apana toh dil hai sada
Phir bhi hai atal iraada
Hai jaan se pyaara wada,
Wada kabhi na todenge
 
Jite ji hum yaaron ka
Saath na chhodenge
Jite ji hum yaaron ka
Saath na chhodenge
Sahaare sahaare sahaare
Yaaron ke paaye hain
Pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai,
Pyaar ka tofa laaye hain