Jiski Laagi Re Lagan Bhagwan Me Lyrics | Sant Raghu

Lyricist : Bharat Vyas
Music Director : Chandrakant , Avinash Vyas
Singer : Manna Dey
                        
                        jiski laagi re lagan bhagwaan me
uska deeya re jalega tufaan me

chaahe andheri raat, chaahe barsaat
ghata ghir aaye, ghata ghir aaye
chaahe duniya chhode sath, kare na koi baat
re jaal bichhaye, re jaal bichhaye
jo duba parbhu ke dhyaan me
uska deeya re jalega tufaan me
jiski laagi re lagan bhagwaan me
uska deeya re jalega tufaan me

parbhu ke bhakto ki is jag me
parbhu rakhe nigraani, parbhu rakhe nigraani
kaat sake na kataar use, talwaar amar vo praani
bada bal hai parbhu ke vardaan me
uska deeya re jalega tufaan me
jiski laagi re lagan bhagwaan me
uska deeya re jalega tufaan me

tan ka deepak, praan ki baati
hari bhajan ka tel hai
hari bhajan ka tel hai
aisi amar jyoti ko bujhana
duniya me kya khel hai
duniya me kya khel hai
parbhu aap viraaje jiske praan me
parbhu aap viraaje jiske praan me
uska deeya re jalega tufaan me
jiski laagi re lagan bhagwaan me
uska deeya re jalega tufaan me
jiski laagi re lagan bhagwaan me
uska deeya re jalega tufaan me