Main Kaun Hoon Lyrics | Secret Superstar

                        
                        Koi ye batade,
Main hoon kahan,
Koi toh batade,
Mera pata,

Sahi hai ke nahi,
Meri ye dagar,
Loon ke nahi main,
Apna ye safar,

Darr lagta hain sapno se,
Karde na yeh tabah,
Darr lagta hai apno se,
Dede na ye daga,

Main chand hoon ya daag hoon,
Main raakh hun ya aag hun,
Main boond hoon ya hoon lehar,
Main hun sakun ya hun kehar..

Koi ye batade,
Main kaun hoon?
Kyu hoon main kya hoon,
Main kaun hoon?

Yakeen hai ke nahin,
Khud pe mujhko kya?
Hoon ke nahi main,
Hai farak padta kya?

Kiske kandho pe roun,
Ho jaaye jo khata,
Kisko raahon mein dhoondun,
Kho jaye jo pata,

Main chand hoon ya daag hoon,
Main raakh hun ya aag hun,
Main boond hoon ya hoon lehar,
Main hun sakun ya hun kehar..

Hey..hey..hey..hey..

Main kaun hoon?.