Kaha Ja Raha Hain Lyrics | Seema

                        
                        Kaha ja raha hai
Tu ai jane vale
Kaha ja raha hai
Tu ai jane vale
Andhera hai man
Ka diya to jala le
Kaha ja raha hai
Tu ai jane vale
Kaha ja raha hai

Ye jivan safar ek
Andha safar hai
Ye jivan safar ek
Andha safar hai
Bahakna hai mumkin
Bhatakne ka dar hai
Bahakna hai mumkin
Bhatakne ka dar hai
Sambhalta nahi
Dil kisi ke sambhale
Kaha ja raha hai
Tu ai jane vale
Kaha ja raha hai

Jo thokar na khae
Nahi jeet uski
Jo thokar na khae
Nahi jeet uski
Jo gir ke sambhal
Jaae hai jeet uski
Jo gir ke sambhal
Jaae hai jeet uski
Nisha manzilo ke
Ye pairo ke chhale
Kaha ja raha hai
Tu ai jane vale
Kaha ja raha hai

Kabhi ye bhi socha
Ki manzil kaha hai
Kabhi ye bhi socha
Ki manzil kaha hai
Bade se jaha me
Tera ghar kaha hai
Tera ghar kaha hai
Tera ghar kaha hai
Jo bandhe the bandhan
Vo kyo tod dale
Kaha ja raha hai
Tu ai jane vale
Kaha ja raha hai
Kaha ja raha hai
Kaha ja raha hai
Kaha ja raha hai.