Nigaho Ki Jadugari Adaao Ki Ye Dilbari Lyrics | Shabnam

                        
                        nigaho ki jadugiri adao ki ye dilbari
yuhi nahi khuda ki kasam 
koi to hai mera bhi sanam
nigaho ki jadugiri 

bahke kadam hai mere to bin piye
arma hai mere ke jalte diye
bahke kadam hai mere to bin piye
arma hai mere ke jalte diye
kahti hai dhadkan ke aayega wo
tadpu hamesha me jiske liye
nigaho ki jadugiri adao ki ye dilbari
yuhi nahi khuda ki kasam 
koi to hai mera bhi sanam
nigaho ki jadugiri 

koi to jaha me diwana hai mera
kisi ke to lab pe fasana hai mera
koi to jaha me diwana hai mera
kisi ke to lab pe fasana hai mera
mane na mane jamane ki khushi
kisi ke to dil me thikana hai mera
nigaho ki jadugiri adao ki ye dilbari
yuhi nahi khuda ki kasam 
koi to hai mera bhi sanam
nigaho ki jadugiri