Indian Film History

Tum Chali Jaaogi Parchhaaiyaan Rah Jaayengi Lyrics

From Shagoon (1964)

Duration
4:02
tum chali jaaogi parchhaaiya rah jaayengi kuchh na kuchh husn ki raanaaiya rah jaayengi kuchh na kuchh husn ki sun ke is jhil ke saahil pe mili ho mujhse jab bhi dekhunga yahi mujhko nazar aaogi yaad mitati hai na manzar koi mit sakta hai dur jaakar bhi tum apne ko yahi paaogi tum chali jaaogi parchhaaiya rah jaayengi kuchh na kuchh husn ki ghul ke rah jaaegi jhonko me badan ki khushbu zulf ka aks ghataao me rahega sadiyo phul chupake se chura lenge labo ki surkhi ye javaan husn fizaao me rahega sadiyo tum chali jaaogi parchhaaiya rah jaayengi kuchh na kuchh husn ki is dhadakati huyi shadaab-o-hasin vaadi me is dhadakati huyi shadaab-o-hasin vaadi me yah na samajho ki zara der ka kissa ho tum ab hamesha ke liye mere mukaddar ki tarah in nazaaro ke mukaddar ka bhi hissa ho tum tum chali jaaogi parchhaaiya rah jaayengi

More songs from Shagoon

Tum Chali Jaaogi Parchhaaiyaan Rah Jaayengi Lyrics - Shagoon (1964) | Indian Film History