Na Roko Ram Ko Lyrics | Shree Ram Bharat Milan

Lyricist : Kavi Pradeep
Music Director : Ratan Mohan , Shivram
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        Na roko ram ko logo
Vidhi ka kaam hone do
Ayodhya ka sakal sansar mein
Ab naam hone do
Chale banwas ko jo
Unka ban mein mukam hone do
Avadh ke ladle ko tum
Jagat ka ram hone do
Jagat ka ram hone do

In jane walo ko koi na manana
Inko to jana re bhai inko hai jana
In jane walo ko koi na manana
Inko to jana re bhai inko hai jana

Chali aandhiyo ke path pe
Raghukul ki jyoti
Chali aandhiyo ke path pe
Raghukul ki jyoti
Gup chup luta na bhai
Ankhiyo ke moti
Gup chup luta na bhai
Ankhiyo ke moti
Aaj apne dil ko logo patthar banana
In jane walo ko koi na manana
Inko to jana re bhai inko hai jana

Sone ke mukut wale to
Jag mein anek re
Kanto ka jo taj pahne
Lakho mein wo ek re
Sone ke mukut wale to
Jag mein anek re
Kanto ka jo taj pahne
Lahko mein wo ek re
Aaj inko karne do re
Wan mein thikana
In jane walo ko koi na manana
Inko to jana re bhai inko hai jana
In jane walo ko koi na manana
Inko to jana re bhai inko hai jana.